Showing posts with label javed akhtar. Show all posts
Showing posts with label javed akhtar. Show all posts

Yahi hota pyar hai kya

Javed Akhtar:
nind ke baadalon ke pichhe hain
muskuraata huwa koyi chehara
chehare par bikhari ek reshami latt
sarsaraata huwa koyi aanchal
aur do aankhein hairaan haira si

tera banega woh jo, tera nahi hai 
aye dil bata kyun tujko, itna yakin hai 
mere dil-e-beqkaar
haan dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
haay
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya

Javed Akhtar:
nind ke baadalon ke pichhe hain
ek mulaakaat
ek haseen lamha
jheel ka thehara thehara sa paani
ped par chehchahaati ek chidiyaan
baagh mein khilate nanhe nanhe phool
khubsurat labon ki narm si baat

khwaabon mein koyi kyun hai yuun rehta
aye dil tu kyun mujhe hain yeh kehta
woh mera rasta bhi hai, aur woh hi manzil 
woh mera sagar bhi hai, aur woh hi saahil
kaisi bata yeh betaabiyaan hain
hum chalte chalte aye kahaan hain
dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya 
mere dil-e-beqkaar
haay
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya

Javed Akhtar:
nind ke baadalon ke pichhe hain
dopaher ek pili pili si
lohe ki thandak ke lehje mein
tuta aaina, udate kuchh kaagaj
kirchon kirchon bikhrata ek mandar
palkon pe jhil-milaata ek aansu
ghehara sannata, shor karata huwa
nind ke baadalon ke pichhe hain

sunta hoon mein teri yeh dastaan
simmte ki ek din to yeh dooriyaan
pal mere tum mein dil koyi nahi hai 
tere zidd mein aye dil sadd afreen hai 
kyun yeh junoon hai, kya zustju hai
aakhir tujhe kyun, yeh aarzoo hai
dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya 
mere dil-e-beqkaar
haay
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya

Tumhari Yaad

un dino, jab ke tum the yahaan
zindagi jaagi jaagi si thi
saare mausam bade mehraba dost the
raaste, daawatnaame the jo manjilon ne likhein the jamin par hamaare liye
ped baahein pasaarein khade the
hame chaanv ki swaal pehnaane ke waaste
shaam ko sab sitaare, bahot muskuraate the jab dekhate the hamein
aati jaati hawaayein, koyi geet khushboo ka gaati huyi, chhedati thi, guzar jaati thi
assama ??pigle-neelam ka ek gehra taalaab tha
jisme har raat ek chaand ka phool khilta tha
aur ??pigle-neelam ki leharon mein behta huwa
woh hamaare dilon ke kinaaron ko chhu leta tha
un dino, jab ke tum the yahaan

ashko mein jaise dhul gaye, sab muskuraate rang
raste mein thak ke so gayi maasum si umang
dil hai ki phir bhi khwaab sajaane ka shauk hai
paththar pe bhi gulaab ugaane ka shauk hai
barso se yun to ek amaawas ki raat hai
abb isako hausala kahoon ki jidd ki baat hain
dil kehta hain andhere mein bhi roshani to hai
maana ke raakh ho gaye ummid ke ye ???
is raakh mein bhi aag kahi par dabi toh hain

aapaki yaad kaise aayegi
aap ye kyun samajh na paate hain
yaad toh sirf unaki aati hai
hum kabhi jinko bhool jaate hai

:- Javed Akhtar

Musaafir

jaane kiski talaash unaki aankhon mein thi
aarajoo ke musaafir bhatkate rahein
jitane bhi woh chale
utane hi bichh gayein raah mein faasalein
kwaab manjil thi aur manjilein khwaab thi
raaston se nikalate rahein raaste
jaane kis waste aarjoo ke musaafir bhatkate rahein

koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
itani jalati dhoop mein yuun kab tak ghumoge
aayo, chalke bitein dino ki chhanv mein baithe
us lamhein ki baat karein
jisme koyi phool khila tha
us lamhein ki baat karein ke
jisme kisi aawaaz ki chaandi khanak uthi thi
us lamhein ki baat karein ke
jisme kisi nazaron ke moti barse the
koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
itani jalati dhoop mein yuun kab tak ghumoge

sach toh yeh hai kasoor apana hain
chaand ko chuune ki tamanna ki
aasamaan ko jamin par maanga
phool chaaha ki paththaron pe khilein
kaanton mein ki talaash khoshboo ki
aarjoo ki ke aag thandak de
barf mein dhundate rahein garmi
khwaab jo dekha chaaha sach ho jaaye
isaki humko saja toh milani hi thi
sach toh yeh hai kasoor apana hain

:- Javed Akhtar

Sab kehte hain mai deewana hu

mujhko teri aawaaz se khushboo aati hai
aur khushboo mein rang dikhaayi dete hai
tu jab nahi hai tab bhi tu hai saath mere
milon se chhute hai tujhko haath mere
woh jo teri saanson mein hai ghulein huye
kahin rahoon woh geet sunaayi dete hai
baadal, titli, kaliyaan, lehrein, phool, hawaan
ye sab tere roop dikhaayi dete hain
main hoon, tera naam hain, teri baatein hain
har pal dohraata tera afsaana hoon
mujhko to abb hosh nahin hain
tu hi bata, sab kehte hain main tera deewaana hoon

:- Javed Akhtar

Is sham ko ji bharke jilo

kal kya hoga, ye mat socho
tum ye dekho, ki shaam ke daaman mein kya hai
madham madham si roshaniyon mein, dhun pe machalate jismon par halki si damak
lehraati huyi sandal baahein
balkhaati huyi resham julfein
ye ang ang, ye jhalak jhalak, sheeshon ki khanak
sheeshon ko chhute naazuk labj, jinme shaam ki surkhi hai
hirani si vaishi aankhon mein, anjaane se paigaam basein
ye dekhke inko behake to ilzaam kise
in lamhon ke pyaalon mein jitni masti hai
saari ki saari tum pi lo
is shaam ko ji bharke jilo

kal jo bhi hoga dekhenge

:~ Javed Akhtar

 

Design in CSS by TemplateWorld and sponsored by SmashingMagazine
Blogger Template created by Deluxe Templates