zindagi jaagi jaagi si thi
saare mausam bade mehraba dost the
raaste, daawatnaame the jo manjilon ne likhein the jamin par hamaare liye
ped baahein pasaarein khade the
hame chaanv ki swaal pehnaane ke waaste
shaam ko sab sitaare, bahot muskuraate the jab dekhate the hamein
aati jaati hawaayein, koyi geet khushboo ka gaati huyi, chhedati thi, guzar jaati thi
assama ??pigle-neelam ka ek gehra taalaab tha
jisme har raat ek chaand ka phool khilta tha
aur ??pigle-neelam ki leharon mein behta huwa
woh hamaare dilon ke kinaaron ko chhu leta tha
un dino, jab ke tum the yahaan
ashko mein jaise dhul gaye, sab muskuraate rang
raste mein thak ke so gayi maasum si umang
dil hai ki phir bhi khwaab sajaane ka shauk hai
paththar pe bhi gulaab ugaane ka shauk hai
barso se yun to ek amaawas ki raat hai
abb isako hausala kahoon ki jidd ki baat hain
dil kehta hain andhere mein bhi roshani to hai
maana ke raakh ho gaye ummid ke ye ???
is raakh mein bhi aag kahi par dabi toh hain
aapaki yaad kaise aayegi
aap ye kyun samajh na paate hain
yaad toh sirf unaki aati hai
hum kabhi jinko bhool jaate hai
:- Javed Akhtar
0 comments:
Post a Comment